A collection of articles, online books, speeches, and commentary on the Qur'an.

On 11:57:00 AM by shayarkishayari in    No comments

SURA E YASIN SHARIF KE FAZAIL:

  • Hazrate Syedna Malik bin Yasar[Raziyallahu Tala Anhu] Se rivayat hai ki sarkare vala tabar,ham be bason ke madadgar,shafiye roze shumar,do alam ke maliko mukhtar,habibe parvadigar Sallallahu Alaihi O Sallam ne Farmaya: Sura E Yasin Quran e Paak ka Dil hai jo isse ALLAH Azzawajal ki riza aur Akhirat ki behtari ke liye paden ga uss ki magfirath kar di jayegi.
  • Hazrate Syedna Anas [Raziyallahu Tala Anhu]Se rivayath hai ki Rasoole Akram,Noore Mujasam Sallallahu Alaihi O Sallam ne Farmaya: Beshak har chiz ka ek dil hai aur Quran ka Dil Sura E Yasin hai aur jo ek martaba Sura E Yasin padega ALLAH TALA uss ke liye das[10] martaba Quran padne ka savab likhega.
  • Hazrate Syedna Ibne Abbas[Raziyallahu Tala Anhu]Se rivayath hai ki Nabi E Akram,Noore mujassam,Sarkare do Alam Sallallahu Alaihi O Sallam ne Farmaya: Meri Khwahish hai ki Sura E Yasin meri ummat ke har insan ke dil me ho.
  • Hazrate Syedna Anas [Raziyallahu Tala Anhu]Se rivayath hai ki Huzur E Akram,Rasool E Muhtasham,Shaahe Bani Adam Sallallahu Alaihi O Sallam ne Farmaya: Jo Shaks hamesha har rath Sura E Yasin ki tilavat karta raha fir margaya to voh Shahid marega.
  • Hazrate Syedna Aatha Bin Abu Rabah [Raziyallahu Tala Anhu]Se rivayath hai ki Shahansha E Madina,Surure Kalbo Sina Sallallahu Alaihi O Sallam ne Farmaya : Jo Shaks din ki ibtida me Sura E Yasin Ki tilavat karega,uss ki Hajat puri kar di jayegi.
  • Hazrate Syedna Ibne Abbas [Raziyallahu Tala Anhu] Farmate hain: Jo Shaks ba vakhte subha Sura E Yasin ki tilavath kare use sham tak uss din ki asani ata ki gayi aur jis shaks ne rath ki ibtida me iss ki tilavath ki use subha tak uss rath ki asani di gayi.
  • Hazrate Syedna Jabir Bin Samurah [Raziyallahu Tala Anhu] Se marvi hai Farmate hain: Huzure Paak,Sahibe lolak Sallallahu Alaihi O Sallam Subha ke vakht Sura E Yasin ki tilavat Farmaya karte the.
  • Hazrate Syedna Abu Khilab [Raziyallahu Tala Anhu] Se rivayat hai,Voh Farmate hain:Jis ne Sura E Yasin ki tilavat ki uss ki magfirath ho jayegi,jiss ne bhuk ke vakht padi voh sair ho jayega,jo rasta bhul jane ke vakht pade use rasta mil jayega,Jo gumshuda chiz ke liye pade use palega aur jis ne khane ke vakht uss ke kam hone ki halat me tilavat ki to voh use kifayat karega,jis ne kisi marne vale ke pas iss ki tilavat ki uss par narmi ki jayegi,jis ne kisi yesi aurath ke pass iss ki tilavat ki jis par bachche ki viladath tang ho uss par asani hogi aur jis ne iss ki tilavat ki goya ki uss ne 11 martaba Quran E Paak ki tilavat ki aur har chiz ke liye dil hai aur Quran ka dil Sura E Yasin hai.
  • Hazrate Syedna Abu Jafar Mohammed Bin Ali [Raziyallahu Tala Anhu] Se rivayat hai farmate hain: Jo shaks apne dil me sakhti paye to voh ek piyale me zafran se "YASIN VAL QURANIL HAKIM" likhe fir use pi jaye (Insha Allah Azzawajal uss ka dil narm hoga).
  • Hazrate Syedna Abu Huraira [Raziyallahu Tala Anhu] Se marvi hai ki ALLAH Azzawajal ke mahaboob,danaye ghuyub,Munazzahun Anil uyyub Sallallahu Alaihi O Sallam ne farmaya: Jis ne ALLAH TALA ki raza pane ke liye kisi bhi shab me Sura E Yasin ki tilavath ki to uss ki magfirath kar di jayegi.

 MAGRIB KE BAD 6 NAVAFIL

Mamulate Auliya kiram Rahimahumullahussalam se hai ki magrib ke farz va sunnath vagaira ke bad 6 rakath nafil do do rakat kar ke ada kiye jayen.pahali do rakaton se pahale ye niyath kijiye: "ya ALLAH Azzawajal In do rakaton ki barkat se muje darajiye umr bakhair ata farma" dusri do rakaton me ye niyath farmayiye: "Ya ALLAH Azzawajal in do rakaton ki barkath se balaon se meri hifazath farma" tisri do rakaton ke ye niyyath kijiye:"YA ALLAH Azzawajal in do rakaton ki barkath se muje apne siva kisi ka mohtaj na kar" in 6 rakaton me Suratul Fateha ke bad jo chahe voh suraten pad sakte hain,behtar ye hai ki har rakat me suratul Fateha ke bad tin tin bar suratul ikhlas pad lijiye.har do rakath ke bad 21 bar "KHULHU WALLAHU AHAD (puri surat)"ya ek bar sura e Yasin sharif padiye balki hosaketo dono hi pad ligiye ye bhi ho sakta hai ki koi ek islami bhai buland avaz se YASIN sharif pade aur dusre khamoshi se khub kan laga kar sune. iss me ye khayal rahe ki dusra iss daoran zaban se YASIN sharif balki kuch bi na pade aur ye masla khub yad rakhiye ki jab quran e karim buland avaz se pada jaye to log sunne ke liye hajir hain un par farze ayen hai ki chupchap khub kan laga kar sune Insha ALLAH Azzawajal rath shuru hote hi savab ka ambar lag jayega.har bar YASIN sharif ke bad "dua e nisfe shaban" bhi padiye.

dua

Shaban


 YE ALLAH Azzawajal,Ye ehsan karne vale ki jis par ehsan nahi kiya jata.Ye badi shano shoukat vale.Ye fazlo inam vale.tere siva koi mabud nahi.tu paresha halon ka madadgar,panah mangne valon ko panah aur khofzadon ko aman dene vala hai.Ye ALLAH Azzawajal.Agar to apne yahan UMMUL KITAB(yani LOHE MAHAFUZ) me muje shaki(yani bad bakht),maharoom,dutkara hua aur rizk me tangi diya hua likh chuka ho to YE ALLAH Azzawajal.apne fazal se meri bad bakhti,maharoomi,zillat aur rizk ki tangi ko mita de aur apne pass Ummul kitab me muje khush bakht,(khushada)rizkh diya hua aur bhalayiyon ki tofikh diya hua sabth(taharir)farma de,ki tune hi teri nazil ki hui kitab me tere hi bheje huye NABI Sallallahu Alaihi O Sallam ki zabane faiz tarzuman par farmaya aur tera(yeh)farmana haq hai: "tarjuma e kanzul Iman: ALLAH jo chahe mitata hai aur sabit karta hai aur asal likha hua usi ke pas hai" khudaya Azzawajal.Tajalliye Azam ke vasile se jo nisfe shabanul mukarram ki rath(yani shabe barath) me hai ki jis me bant diya jata hai har hikmath vala kam aur atal kar diya jata hai.(YA ALLAH) afaton ko ham se dur farma ki jinhe ham jante aur nahi bi jante jab ki to unhe sab se jaida janne vala hai beshak tu sab se badkar Azizi aur izzath vala hai ALLAH TALA hamare sardar MOHAMMED Sallallahu Alaihi O Sallam par aur app Sallallahu Alaihi O Sallam ke alava assahaba Raziyallahu tala Anhu par daroodo salam beje.sab khubiyan sab jahano ke palne vale ALLAH Azzawajal ke liye hai.